Daily Ramadan Tafseer Class Summary in Roman Urdu
🍁Day 6‐ Surah Zumar Ayaat 7-10 🍁
Momin: Zaahir mei to nafil ibadaat jaise tahajjud ki kasrat kar raha hota hei magar dil mei aakhirat se dar raha hota hei aur Allah ta’ala ki rehmat se pur umeed hota hei. Jis ke dil mei ye dono kaifiyaat hon wo kabhi bhi tarke faraaiz ke saath nafil Amaal ki kasrat nahi karta balke har amal ko is ke darje par rakhta hei.
Dairae Deen: Imaan aur yakeen is daire ke beech mei hei. Yakeen ko ikhlaas ka daira ghere hue hei. Ikhlaas ke gard dusra daira faraiz ka hei jis mei faraiz ka ilm bhi shamil hei. Faraiz ke gard teesra daira takmeele sunnan ka hei jis mei zaahiri sunnatein, akhlaqe Nabawi sallallahu a’laihiwasallam aur kaifiyaat Nabawi sallallahu a’laihiwasallam sab shamil hein. Sunnan ke gard aakhri daira Aadaab ka khayal rakhna hei. Shaitaan sab se pehle Aadaab par hamla karta hei. Agar ye tark kardiye jayen to sunnaton par, un ke chudwane ke baad faraiz par phir ikhlaas aur akhir mei Imaan se insaan ko mahroom karta hei. Is wajah se aaj badi ta’daad mei musalmanon ke Deen chodhne ki asal wajah tarke faraiz ban rahi hei. See attached diagram.
Aqle Saleem: Wo aqal hei jo qalb se maghloob ho, na ke nafs se. Ye is shakhs mei hoti hei jiska qalb sabt ban chuka ho aur nafs kamzor ho chuka ho.
Taqwa: Allah ta’ala ki narazgi se darna hei. Taqwa ke darakht ki shaakh neki par mudawamat aur gunahon se bachna hei aur is darakht ka phal nek sila hei.
Allah Ta’ala Ki Mashiyat: Koi bhi kaam acha ho ya bura Allah ta’ala ki ijazat ke baghair nahi hosakta , magar Allah ta’ala sirf ache kaam ko pasand karte hein aur bure kaam ko pasand nahi karte. Jaise hum kabhi apne bachon ko apni khushi ke baghair kisi napasandida cheez ki ijazat unki zid ki wajah se de dete hein.
🌱Ramadan Tafseer ‐ Concepts and keywords learnt: Momin, Daira e Deen, Aqle saleem, Taqwa, Allah ta’ala ki mashiyat.
🍁Day 2 ‐ Surah Zumar Ayaat 7-10🍁
Is Tafseer Class mei jin ehem nakaat par baat hui
Kaffar: Jo Apne inkaar ke andar itna zyaada badh jaata hei ke zaati dushmani bughaz aur Nabi ke saath badtamizi wala mamla karta hei. Allah ta’ala aise shaqs ko hidayat nahi dete.
Hakeemul Ummat: Hazrath Maulana Ashraf Ali Thanwi rahmatullah alaihi hakeemul ummat the. Inteha darje ki hikmat jiske zariye aap ne daqeeq ilmi masaail ko hal kiya aur ummat ke marz ki tashqees ki aur iska ilaaj bhi bataya.
Tauheed: Allah ta’ala ka koi shareek nahi hei na Bil fe’l na bil quwwah.
Dalaail Tauheed: Afaaqi dalaail (bairuni dunya mei) aur Anfusi ( Insaan ki takhleeq mei).
Tauba: Tauba karne se gunah to maaf hojate hein magar gunah ki wajah se jo jismani awaariz paida hote hein wo Tauba se dur nahi hote hein. Ye Allah ta’ala ki aadat hei, magar Allah ta’ala chahein to apni qudrat se jismani awaariz ko achaa bhi kar sakte hein.
Ma’arif o Masaail: Masla wo baat jis mei ahle ilm o samajh se sawaal ki zarurat pesh aaye, na ke jis par wawela kiya jaye. Jo cheezen samajh na aaye unke bare mei ahle ilm se puchne ka hukm diya hei Allah ta’ala ne
Deen: Ataa’at ka naam hei ibaadat mei bhi apni marzi chalane se Allah ta’ala raazi nahi hote balke Allah ke chune hue bandon ki ataa’at karne se Allah ta’ala raazi hote hein. Haiz mei namaz ki misal se samjaya gaya.
Ikhaas e Niyyat: Niyyat ke maamle mei Allah ta’ala ki standards non compromising hein. Jo aakhirat ki niyyat karega usko akhirat milegi magar jo dunya ki niyyat karega usko sirf dunya hi milegi. Niyyat mei burai ki milawat Allah ta’ala ko qubool nahi hei.
🌱Ramadan Tafseer‐ Concepts and keywords learnt: Kaffar,Tauba, Dalaile Tauheed, Ma’arif o Masaail, Ibaadat o Ataa’at Ikhlaase Niyyat.