Apple Podcast Google Podcast
Ask us Questions

Surah Al Hajj - سورہ حج

25/03/2023
Aayath Name:
Page:

Audio

Important Notes

🍁25 March 2023 – Class 2 – Surah Al Hajj 🍁
Aaj ki tafseer class kay aham nukat
🔸ينرصه، من هللا ولينرصن��
Yahn laam takeed ba noon saqeela ka seega hay is sey takeed dogni ho jati hay, jo be Allah ki madad karey ga Allah us ki zaroor bil zaroor madad karey ga. Allah ki madad karney ka matlab Allah key deen yaney Allah kay Rasool ki madad karna hay. Jab nabi dunya sey parda farma gaye tou phir deen ki madad Nabi saw kay wurasa ki madad kahlai gi kyunki wo yahi kam kar rahey hain jo ki ambiya ney kia tha.
🔸Nabi saw kay kamun mein Quran ki tilawat sikhana, tazkia yaney rohani bemariyun ka ilaaj, Quran ki tafseer, Quran ka ilm mein hadees aur sunat shamil hain, in tamam uloom ko ulama e kiram ney in sey wersey mein liya.
🔸Hum ulama ki madad kyun nhi kar patey jis kay karney sey Allah ki madad hamain hasil hojaye? Faqt deen ki kitab parhna aur is par amal paera hona ye kitabi deen kahlaega. Hamara deen kitabi deen nhi hay, ye suhbati deen hay. Aur suhbat zinda insanun sey milti hay, kitabun aur awliya ki qabrun sey nhi milti.
🔸Ulama e kiram ki madad kerna deen ki hifazat aur is ki ishaat main
🔸Deen ki hifazat
🔸Asal kaam: Aalim e deen sey deen kay uloom ko achchay tareeqay sey seekhna.
🔸Muaawim kaam: Aalim e deen kay liye kissi kitab, qalm, imarat ki zaroorat hay, ye muhayya karna muaawin kaam hay.
🔸Deen ki Isha’at
🔸Asal kam: Aalim e deen ka Numainda ya Naib banna. Is kam kay liye aik ahliyat ki zaroorat hoti hay. Is kay liye sirf deen ka ilm hasil karna zaroori nhi balki Shaikh aap kay ilm, aqal, hilm, wafadari par aitimad kar sakey tab wo aap ko tableeg, nashro ishaat mein apna Nayib madadgar bana sakey ga. Hum sey galti hoti hay ki hum Shaikh ka aatimad hasil nhi kar pa rahey hotey jis ki wajah sey Nashro ishaat kay asal kam mein Muaawim nhi ban patey.
🔸Muaawin kam: Kisi nashro ishaat kay ijtima mein khidmat, management wagairah kay kam sar anjam dena, ye muaawin kaam kahlain gey. Hum muaawin kaamun mein madadgar tou ban pa rahey hotey hain lekin asal kaam mein madadgar nhi ban pa rahey hotey.
🔸Ulama wa Mashaikh ney apney aap ko is qabil banaya hota hay ki aap in par aitimad kartey hain, in sey masail seekhtey hain, mashwarah kartey hain. Lekin kya aap ney apney aap ko is qabil banaya ki wo aap par aitimaad karein. Jab tak ulama wa mashaikh aap par aitimaad nhi kar saktey tab tak aap ko deen kay asal kaam mein apnay muaawin nhi
bana saktey.
🔸Ye aitimad kaisey hasil ho?
🔸Asan jawab ye hay, Sahaba ki zindagiyun sey seekhein ki wo kaisey thay, kya achchey kaam kiye thay kya galtiyan howi aur kaisey unhoon ney unki islah ki. Sahaba sey zyada behtareen koyi model nhi jin par in kay Shaikh Nabi saw aitimaad kartey thay.
🔸Shaikh ka aitimaad hasil karney kay liye chand batein.
🔸Shaikh kay saath hum jhoot bolna chorh dein. Pehley tola karen phir bola karein, in kay saath kharey ban jayen. Do rangi chorh dey yak rang ho ja Sar a sar moom ho ja ya phir sang ho ja
🔸Apni aqal ko shaikh ki aqal par fauqiyat dena. Aqeedat bhi hay dars Quran mein bhi shamil hona hay, mashwara bhi karna hay lekin karna wahi hay jis ko mein sahi samjhta hun.
🔸Har jayi banney sey parheiz karein. Muta’addad kashtiyun kay sawar banney sey nuqsan hota hain. Dil kay tokrey kayi kiye koyi idhar gira koi udar gira.
🔸Hum unki baat hi ko tawajah sey nhi padtey na suntey. Wo keh kuch rahey hotey hain aur hum kar kuch rahey hotey hain. Chotey sey whatsaap message ko follow nhi kar patey hain. Is adam tawajjuhi key saath hum kabhi bhi unkey bharosey key qabil nhi ban saktey. Jab tak in batoon ki ehtyat nhi karein gey hum asal mein deen ki madad karney waley nhi ban saktey. Jab deen ki asal madad nhi kar sakein gey tou Allah ki asal madad sey bhi mehroom rahein gey.
🔸Shaikh ko kaisey pat chalta hay ki hum jhoot bol rahey hain kyunki Shaikb kay pass ilm e gaib tou nhi hota. Dar asal tazkiyah tou Allah taala ney farmana hota hay jis kay liye wo Shaikh ko sabab kay tour par istimal karta hay. Jis tarah wizarat e sehat doctor ko zaroori aalaat muayinah dey kay ilaaj ka kam supurd karti hay isi tarah Allah Taala bhi shaikh ko Furqaan (sachey jhootey ki tameez) aata kar kay istimaal kartey hain. Ye shaikh kay liye Allah ki madad bhi hoti hay kyunki shaikh hi tou Allah kay deen ki asal madad karney waley hotey hain.
Recording link:
http://files.rememberallah.org/Ramadan1444_tafseer/03_ramadan144
4tafseerclass_day02.mp3

Books

WordPress Video Lightbox