Apple Podcast Google Podcast
Ask us Questions

Surah Al Hajj - سورہ حج

26/03/2023
Aayath Name:
Page:

Audio

Important Notes

🍁26 March 2023 – class – 3 – Surah Al Haj🍁
Aaj ki class kay aham nukat
🔸Jazeerah numa Arab mei kafi barishein ho rahi hain jis sey zahir hota hay ki Nabi saw ki batai hui nishaniyan puri ho rahi hain. In ko dekh kar hamara na sirf Aap par imaan mazboot hona chahiye balkey apney ulama par bhi aitimaad mazboot hona chahiye ki unhun ney 14 sau saal ahadees ko sahi taur par mehfooz kia hay aur hum unko ab pura hotey dekh rahey hain.
🔸Ulama ki madad: jin ulama par aitimaad kar tey hain unki madad kyun nhi kar pa rahey hotey, jawab ye keh hum is qabil nhi ban patey keh wo hum par aitimaad kar sakein. Jin ki wajoohat banti hain: un sey jhoot bolna, hamara muta’addad kashtiyun mei sawar rehna, unki baat ko tawajah sey na sunna. Hum apni tawujjuh ko markooz nhi kar patey. Unki aek choti si kahi baat par amal nhi kar patey tou wo badey kam mei humein shareek kaisey banayein.
🔸Aek aur badi wajah apney badun ka aitimaad hasil na kar paney ki, jo mandarjah bala batun ka khulasa hay
🔸Hal ka hissa (Part of the Solution): Deen e islam insaniyat kay tamam masail ka hal hay. Mashaikh isi kay liye tagodou kartey hain. Jab wo hum par aitimaad kar kay humein apney saath shamil kar sakein gey tou hum bhi hall Yani solution ka hissa ban jayein gey.
🔸Maslah ka hissa (Part of the Problem): lekin hum baghair daleel kay khud ko haq par aur dosrun ko ilzam thehratey hain, gharun mei larai jhagrhey hi khatm nhi hotey, apni tareef aur dosrun ki shikayat sey baaz nhi aatey. Jab tak hum apney gunahun aur in buri aadatun ko nhi chorein gey is waqt tak wo hum par aitimaad nhi kar sakein gey. Chonancheh hum us waqt tak maslah ka hissah (Part of problem) hi baney rahein gey.
🔸Momin ka sab kuch deen hota hay. Muamlaat chahey bazahir dunyawi hun ya deeni, Allah kay deen ki madad karney waley momin kay saath Allah ki madad har maamlay mei hoti hay.
🔸Seerat ko samajhney ki mehnat karein tou ye hamarey liye shaffaf rehnumai ka zariyah hay دَقَلَانَكمُكَلِو ل فسَُ راَلل ّةَوسُ۔ أةَنسََح Quran aur hadeez ko chorh kar dosri cheezun mei research
karney waley ki misaal andherey mei tamak tou’iyan marney waley ki si hay. Agar khud research na kar sakein tou jin kay paas ilm hay un kay saath pochney wala taaluq banaya jayey.
🔸 Hukm kay samney tab’ee wa dunyawi muhabbatein tou kya deeni muhabbatein bhi qurban karni parhti hain jaisey Nabi saw ney sirf aabai shehr kay gali kuchun ki muhabbat ko qurban nahi kiya balkey Allah kay gar sey apni muhabbat ko bhi Allah kay hukm ki wajah sey qurban kiya. Issi tarah humein bhi yem daekhna hay keh is waqt hum par Allah ka konsa hukm lago hota hay. Agar wo hukm humein Baitullah aur Rijalullah kay paas janey sey rok raha hay tou hamein hukm ko fauqiyat deni hay. *
🔸Jihad wa qitaal par ubharna: Allah taala samjha rahey hain ki ye koi naya hukm nhi balki pichli ummatun ko bhi ye hukm diya giya tha. Aur iska faidah ye hay ki dunya mei Allah ka naam rahey. Bilkul jis andaaz sey rozey jaisey mushkil hukm kay liye ubhara giya تتقون۔ لعلکم قبلکم من الذین عیل کتب کما Lekin is ubharney ki zaroorat is liye nhi paesh aayi ki ye laug jismani taur par kamzoor ya buzdil log they.
🔸Zamana e jahiliyat kay qitaal aur Islam mei qitaal mei farq: Balkeh ubharney ki zaroorat is liye paesh aayi keh ye laug pehley qitaal dunyawi muhabbat ya sirf apney nafs ki muhabbat mei Kartey thay, jo mehsoos (physically perceivable) cheezun ki muhabbat thi. Islam laney kay baad qitaal na nafs, na bewi bachun aur na maal kay liye karna tha balkey sirf aur sirf aek Nazarye kay liye karna tha jo Allah kay Nabi ney unko diya. Ye mushkil kaam tha.
Recording link:
http://files.rememberallah.org/Ramadan1444_tafseer/04_ram
adan1444tafseerclass_day03.mp3

Books

WordPress Video Lightbox