Apple Podcast Google Podcast
Ask us Questions

Surah Al Hajj - سورہ حج

28/03/2023
Aayath Name:
Page:

Audio

Important Notes

🍁28 March 2023 -class 5 – Surah Al Haj🍁
Aaj ki tafseer class kay eham nukat
🔸Dar ul kufr sey hijrat kar kay Dar ul Islam ki taraf aana jihad ki taraf pehla qadm hay. Kyunki jihad kay liye musalmanun ki hukumat zaroori hay jo keh Dar ul Islam mei hoti hay. ه بالمعروف األمر الزكاة، وآتوا الصالة وأقيموا baad kay honey hasil Aazadi🔸 والن عن المنكر kay hukm ko raaij karna hota hay. Jab keh hum mili nagmey, jhandiyan lagana aur chuti mananey ko eham samjhtey hain.
🔸Musa as ney apni qaum sey farmaya keh qareeb hay keh tumhara Rab tumharey dushmanun ko halak kar dey ga aur tum ko zameen mei apna khaleefa bana dey ga aur phir deakhy ga keh ye sab milney kay baad tum kaisa amal kartey ho. Aazadi mil jana hatmi kamyabi nhi hay jo mulk mila hay wo imtihan kay liye diya gaya hay kyunki dunya imtihan ki jagah hay. Hatmi kamyabi aur nakami tou aakhirat hay.
🔸Allah taala ney Musa as ko alag sey zikr kiya is ki aek wajah ye hay keh Nabi saw ko aur Aap saw ki qaum ko sab sey ziyadah mushabihat Musa as aur Musa as ki qaum kay saath hay. Hatakeh inkay dushmanun mei bhi mushabihat maujood hay.
🔸Musa as ki bhi takzeeb ki gayi Allah ney dushmanun ko dheel di. Dheel deney ki dou wajoohat hain ya tou tauba karlein ya mazeed gunah karlein. Jab dheel khatm ho jati hay tou pakrh aajati hay.
🔸Zulm ki tareef hukm ki khilaf warzi karna hay, mar pitai karna ya sazayein dena nhi warn sharie qitaal aur sharie sazayein bhi zulm hotein.
🔸Jab insaan ki tawajjah markooz nhi hoti tou kan sey tou aawaz aarahi hoti hay lekin us ki aqal usko process nhi karti. Jab hum sorahey hotey hain tou aisa hota hay. Isi tarah jaagney ki haalat mei bhi insaan soraha ho tou achchi batein isko fayidah nhi dey rahi hoti hain.
🔸Aankhein andhi nhi hoti balki quloob andhey ho jatey hain yaney rooh gandhi ho jati hay. Rooh ki deakhney, samjhney, sunney, saheeh nateejey tak ponhachney ki salahiyat mu’atal ho jati hay.
🔸Rooh jism kay purey hissey mei hoti hay Nabi saw ka farmaan hay ki agar ungli kaat di jaye tou ungli ki rooh simat kar baqiyah hissey mei aajati hay. Rooh lateef cheez hay. Rooh kay kuch focal points hain jis mei sab sey eham qalb hay jo ki seeney mei hota hay. Aur jism mei dil ki baayein janib hota hay.
🔸Kaafirun ney nabiyun ko jo keh masoom hain yaney gunahun sey paak hotey hain jhota bola. Nabi saw in baatun sey magmoom thay Allah taala ney Aap saw ka gam dour karney kay liye wahi nazil farmayi.
🔸Isi tarah Shaikh bhi apney muredeen ka hoslah barhatey hain aur gam mei hoslah barhatey hain. Yahn sawal paidah hota hay kyunki Nabi saw kay shaikh Allah taala jin kay paas ilm e gaib hay apney Nabi ko bazariah wahi kay hoslah barha detey thay. Lekin hamarey shaikh kay paas ilm e gaib nhi hay tou kya hum gair musa’ad haalaat ki wajah sey
depression ka shikar ho jayen? Hargiz nhi. Pehli baat ye keh Nabi saw par bhi aayaat har waqt nazil nhi horahi hoti thi aur doosri baat ye keh ilhamaat hamarey oopar bhi
aarahey hotey hain lekin hum apney gunahun ki wajah sey inko mehsooss nhi kar paatey.
🔸Dil kyun aandhey ho jatey hain. Iski wajah zid, ananiyat aur Allah walun kay saath bughz rakhna hota hay. Kaafirun ney Musalmanun ki kitaabun ko in sey ziyadah achchey sey parha aur samjha hay lekin mana nhi hay. Unhey ye baat pata hay keh musalmanun ko inkay Mashaikh aur Ulama sey mutanafir kardo tou unkay dil bhi andhey ho jayengey. Ab wo tauba hi nhi karein gey.
Recording link:
http://files.rememberallah.org/Ramadan1444_tafseer/06_ramadan144
4tafseerclass_day05.mp3

Books

WordPress Video Lightbox